Meri Nigahon Pe Jis Ne Sham O Sahar Ki Ranaiyan Likhi Hain
meri nigahon pe jis ne sham o sahar ki ranaiyan likhi hain
usi ne meri shabon ke haq mein ye karb-asaiyan likhi hain
kahan hain wo aarzu ke chashme talab ke wo maujzan samundar
nazar ne aandhe kuen banae hain fikr ne khaiyan likhi hain
ye jism kya hai ye zawiyon ka tilism kya hai wo ism kya hai
adhuri aagahiyon ne jism ki ye nisf golaiyan likhi hain
kinae pairae istiare alamaten ramziye ishaare
kiran se paikar ko zawiye de ke hum ne parchhaiyan likhi hain
suKHan ka ye narm-sail dariya Dhale to ek aabshaar bhi hai
nasheb-e-dil tak utar ke paDhna baDi tawanaiyan likhi hain
mere mah o sal ki kahani ki dusri qist is tarah hai
junun ne ruswaiyan likhi thin KHirad ne tanhaiyan likhi hain
ye mere naghmon ki dil-rasi teri jhil aaankhon ki shaeri hai
jamal ki sath di hai tu ne to main ne gahraiyan likhi hain
(1339) Peoples Rate This