Marne Ki PuKHta-KHayali Mein Jine Ki KHami Rahne Do
marne ki puKHta-KHayali mein jine ki KHami rahne do
ye istidlali tark karo bas istifhami rahne do
ye tez-rawi ye tursh-rui chalne ki nahin hai dur talak
shabnam-nazari shirin-suKHani aasuda-gami rahne do
sau dasht samundar chhano par aate raho qarya-e-dil tak bhi
bairuni hawa ke jhonkon mein ek mauj-e-maqami rahne do
ab tanz pe kyun majbur karo hum ghair mulawwis logon ko
fan pesh karo ye fahrist-e-asma-e-girami rahne do
raftar par itni dad na do manzil na meri chhino mujh se
az-rah-e-hunar mere hisse ki thoDi nakaami rahne do
jatlate phiro gar qad apna paimaish ki mohlat to na do
is qamat-e-baala ke sadqe ye zud-qayami rahne do
ab hum se pareshan-haalan ko kya amn-o-sukun ras aaega
yunhi bohrani chalne do sara hangami rahne do
ai 'saz' wagarna log tumhein Thahraenge sanpon ka maskan
is shahr-e-aks-gazida mein aaina-fami rahne do
(1257) Peoples Rate This