Manzar Shamshan Ho Gaya Hai
manzar shamshan ho gaya hai
dil qabristan ho gaya hai
ek sans ke baad dusri sans
jina bhugtan ho gaya hai
chhu aae hain hum yaqin ki sarhad
jis waqt guman ho gaya hai
sargoshiyon ki dhamak hai har-su
ghul kanon-kan ho gaya hai
wo lamha hun main ki ek zamana
mere dauran ho gaya hai
sau nok-palak palak-jhapak mein
uqda aasan ho gaya hai
manzil wo KHam-e-safar hai jis par
chori saman ho gaya hai
ek marhala-e-kashakash-e-fan
wajh-e-imkan ho gaya hai
kaghaz pe qalam zara jo phisla
izhaar-e-bayan ho gaya hai
paida hote hi aadmi ko
lahaq nisyan ho gaya hai
pili aankhon mein zard sapne
shab ko yarqan ho gaya hai
saude mein ghazal ke faeda 'saz'
kaisa nuqsan ho gaya hai
(1200) Peoples Rate This