Lafzon Ke Sahra Mein Kya Mani Ke Sarab Dikhana Bhi
lafzon ke sahra mein kya mani ke sarab dikhana bhi
koi suKHan sahabi koi naghma naKHlistana bhi
ek muddat se hosh-o-KHabar ki KHamoshi raij hai yahan
kash dayar-e-asr mein gunje koi sada mastana bhi
nape-tule aahang pe kab tak sambhal sambhal kar raqs karen
koi dhun diwani koi harakat majnunana bhi
shahr se bahar kohsaron ke bich ye Thahra Thahra din
kitna apna sa lagta hai aaj dil-e-begana bhi
ek tilismi rah fasil-e-tan se nawah-e-jaan tak hai
jis ki khoj mein kho jao to mumkin hai pa jaana bhi
aagahi makus safar hai danish-gah ke raste ka
jis ka har jaana-pahchana manzar hai an-jaana bhi
bol wahi hain sur bhi wahi mizrab ki jumbish badle to
yas-o-alam ke taron mein muzmar hai ek tarana bhi
hasil aur la-hasil par ab waise bhi kiya ghaur karen
aur chhalakne wala ho jab sanson ka paimana bhi
kitni aag kashakash kitni kitna tahammul hai darkar
'saz' koi aasan nahin hai lafzon ko pighlana bhi
(1239) Peoples Rate This