Lafz Ka Dariya Utra Dasht-e-maani Phaila
lafz ka dariya utra dasht-e-maani phaila
misra-e-ula hi mein misra-e-sani phaila
kahin chhupa hota hai dawam kisi lamhe mein
yun to hai sadiyon pe jahan-e-fani phaila
danai ki duniya tang hai pechida hai
ya-rab kuchh aasani kar nadani phaila
daman-e-tar hi mein to hai ashkon ki nami bhi
rahne de dharti par yunhi pani phaila
manfaten hi darj hain sab ki fard-e-amal mein
waraq kushada kar thoDi nuqsani phaila
kirdaron ki pahchanen gum hone lagi hain
mere lekhak itna bhi na kahani phaila
(1197) Peoples Rate This