Khuli Jab Aankh To Dekha Ki Duniya Sar Pe Rakkhi Hai
khuli jab aankh to dekha ki duniya sar pe rakkhi hai
KHumar-e-hosh mein samjhe the hum Thokar pe rakkhi hai
taaruf ke tale pahchan ghaeb ho gai apni
ajab jadu ki Topi hum ne apne sar pe rakkhi hai
mere hone ka ye tasdiq-nama kis ne likkha hai
gawahi kis ki meri zat ke mahzar pe rakkhi hai
achanak gar wo be-amad hi kamre mein baramad ho
tawajjoh hum ne to markuz baam-o-dar pe rakkhi hai
ajab collage hai qismat ka mahrumi ka mehnat ka
sitare chhat pe rakkhe hain thakan bistar pe rakkhi hai
mata-e-haq-aqida ek sajde mein chura laya
KHirad juya thi kis dahliz par kis dar pe rakkhi hai
nahin qaul-o-qarar-e-jaan-o-dil kafi na the us ko
qasam us shoKH ne aaKHir hamare sar pe rakkhi hai
hisab-e-nek-o-bad jo bhi ho hum itna samajhte hain
bina-e-hashr dard-e-dil pe chashm-e-tar pe rakkhi hai
(1317) Peoples Rate This