KHarab-e-dard Hue Gham-parastiyon Mein Rahe
KHarab-e-dard hue gham-parastiyon mein rahe
KHushi ki khoj bahana thi mastiyon mein rahe
hua husul-e-zar-e-fan baDi kashakash se
hum ek umr ajab tang-dastiyon mein rahe
har ek se jhuk ke mile yun ki sarfaraaz hue
chaTan jaise KHamida si pastiyon mein rahe
chubhan ki naw mein pur ki KHalij rishton ki
ajab mazaq se hum ghar girhastiyon mein rahe
kitaben chehre manazir tamam baada-kade
bataen kya ki baDi mai-parastiyon mein rahe
masafaten thin shab-e-fikr kin zamanon ki
kahan kahan gae hum kaisi hastiyon mein rahe
KHulus-e-fikr ki galiyon mein ghumte tanha
hum apne sher ki aabaad bastiyon mein rahe
(1160) Peoples Rate This