Kabhi Numayan Kabhi Tah-nashin Bhi Rahte Hain
kabhi numayan kabhi tah-nashin bhi rahte hain
yahin pe rahte hain hum aur nahin bhi rahte hain
bhaTakti nazron mein hain murtakiz nigahen bhi
guman-kadon mein kuchh ahl-e-yaqin bhi rahte hain
agarche hum ko muqaddam hai rah-e-KHidmat-e-KHalq
jo baz aae to apne tain bhi rahte hain
baja shawahid o mantiq qubul bahs o dalil
pa hum KHata-e-nazar ke qarin bhi rahte hain
hijab fikr-o-nazar ke uTha ke dekho to
hamare fan mein kai naznin bhi rahte hain
shabahaten si ghubar-e-had-e-nigah mein hain
pas-e-falak kahin ahl-e-zamin bhi rahte hain
tum apne Thor-Thikanon ko yaad rakkho 'saz'
hamara kya hai ki hum to kahin bhi rahte hain
(1109) Peoples Rate This