Jaise Koi Daera Takmil Par Hai
jaise koi daera takmil par hai
in dinon mujh par guzishta ka asar hai
zindagi ki band sipi khul rahi hai
aur us mein ahd-e-tifli ka guhar hai
dil hai raaz-o-ramz ki duniya mein shadan
aql ko har aan tashwish-e-KHabar hai
ek tawaqquf-zar mein gum hai tasalsul
lamha-e-maujud goya umr bhar hai
zehan mein rauzan anokhe khul rahe hain
jin se an-sochi hawaon ka guzar hai
fasle taqsim hi hote nahin jab
'saz' phir kya sust-rau kya tez-tar hai
(1111) Peoples Rate This