Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1681f33ff20b4151a77fc63dfd30c76c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Tak Shabd Ke Dip Jalenge Sab Aaenge Tab Tak Yar - Abdul Ahad Saaz Poetry In English - Darsaal

Jab Tak Shabd Ke Dip Jalenge Sab Aaenge Tab Tak Yar

jab tak shabd ke dip jalenge sab aaenge tab tak yar

kaun utrega dil ke andhe bhaon ke matlab tak yar

chand baras ki rah mein kitne sathi jiwan chhoD gae

jaane kitne ghaw lagenge umr kaTegi jab tak yar

puchh na kya thi pichhle pahar ki dard bhari an-jaani chiKH

jo man ke patal se uTThi rah gai aa ke lab tak yar

kab bajega ganw ke marghaT ke pare mandir ke sankh

kab kala jadu TuTega raat Dhalegi kab tak yar

'saz' ye sheron ki sargoshi teri meri andar ki baat

ruswa ho kar rah jaegi pahunch gai gar sab tak yar

(1333) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tak Shabd Ke Dip Jalenge Sab Aaenge Tab Tak Yar In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Jab Tak Shabd Ke Dip Jalenge Sab Aaenge Tab Tak Yar is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Jab Tak Shabd Ke Dip Jalenge Sab Aaenge Tab Tak Yar for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Jab Tak Shabd Ke Dip Jalenge Sab Aaenge Tab Tak Yar in PDF.