Jaane Qalam Ki Aankh Mein Kis Ka Zuhur Tha
jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha
kal raat mere git ke mukhDe pe nur tha
naghma sa chheDti thin tajalli ki ungliyan
tauret ka nuzul ba-lahn-e-zabur tha
wo sath sath aur pahunchna tha us talak
har aan ek marhala nazdik o dur tha
haibat ke baam par thi bulawe ki raushni
thi waswason ki sham pa jaana zarur tha
har pech koi waqia har moD koi yaad
us ke badan ke sath mera la-shuur tha
ek bhiD mujh se muntazir-e-inkishaf thi
main tha muraqabe mein magar be-huzur tha
(1320) Peoples Rate This