Hum Apne ZaKHm Kuredte Hain Wo ZaKHm Parae Dhote The
hum apne zaKHm kuredte hain wo zaKHm parae dhote the
jo hum se ziyaada jaante the wo hum se ziyaada rote the
achchhon ko jahan se uTThe hue ab kitni dahaiyan bit chukin
aaKHir mein udhar jo guzre hain shayad un ke par-pote the
in peDon aur pahaDon se in jhilon in maidanon se
kis moD pe jaane chhuT gae kaise yarane hote the
jo shabd uDanen bharte the aazad faza-e-mani mein
yun sher ki bandish mein simTe goya pinjron ke tote the
wo bhige lamhe soch bhare wo jazbon ke chaqmaq kahan
jo misra-e-tar de jate the lafzon mein aag pirote the
ye KHushk qalam banjar kaghaz dikhlaen kise samjhaen kya
hum fasl nirali kaTte the hum bij anokhe bote the
ab 'saz' nashebon mein dil ke bas kichaD kali daldal hai
yan shauq ke Dhalte jharne the yan gham ke ubalte sote the
(1271) Peoples Rate This