Hisar-e-did Mein Jaga Tilism-e-binai
hisar-e-did mein jaga tilism-e-binai
zara jo lau teri sham-e-badan ki tharrai
na jaane kis se bichhaDne ke rag-rang hain sab
ye zindagi hai ki furqat ki bazm-arai
sukut-e-bahr mein kis gham ka raaz pinhan tha
bas ek mauj uThi aur aankh bhar aai
ye samt samt taKHatub ufuq ufuq taqrir
tera kalam hai mera rafiq-e-tanhai
KHirad ki rah jo chala main to dil ne mujh se kaha
aziz-e-man ba-salamat-rawi o baz-ai
uThae sur sarafil dekhta hi raha
bashar ke hath nizam-e-qayamat-arai
kiya tha ji ka ziyan hum ne ek ghazal bhar ko
hazar sher kahe ho saki na bharpai
(1314) Peoples Rate This