Hasrat-e-did Nahin Zauq-e-tamasha Bhi Nahin
hasrat-e-did nahin zauq-e-tamasha bhi nahin
kash patthar hon nigahen magar aisa bhi nahin
jabr-e-dozaKH nahin firdaus ka nashsha bhi nahin
KHush hain aaraf mein hum aur koi khaTka bhi nahin
ab kisi hur mein baqi nahin ehsas-e-kashish
mere sar par kisi aaseb ka saya bhi nahin
wo to aisa bhi hai waisa bhi hai kaisa hai magar?
kya ghazab hai koi us shoKH ke jaisa bhi nahin
jis ka haq tha ki bane sang-e-malamat ka hadaf
zahe tazhik wo ab shahr mein ruswa bhi nahin
DhunDh kuchh aur hi iblagh ki surat ai 'saz'
sharh o tafsir nahin ramz o kinaya bhi nahin
(1541) Peoples Rate This