Dur Se Shahr-e-fikr Suhana Lagta Hai
dur se shahr-e-fikr suhana lagta hai
daKHil hote hi harjaana lagta hai
sans ki har aamad lauTani paDti hai
jina bhi mahsul chukana lagta hai
roz palaT aata hai lahu mein Duba tir
roz falak par ek nishana lagta hai
bich nagar din chaDhte wahshat baDhti hai
sham talak har-su virana lagta hai
umr zamana shahr samundar ghar aakash
zehan ko ek jhaTka rozana lagta hai
be-hasil chalte rahna bhi sahl nahin
qadam qadam par ek bahana lagta hai
kya uslub chunen kis Dhab izhaar karen
Tis nai hai dard purana lagta hai
honT ke KHam se dil ke pech milana 'saz'
kahte kahte baat zamana lagta hai
(1420) Peoples Rate This