Dikhai Dene Ke Aur Dikhai Na Dene Ke Darmiyan Sa Kuchh
dikhai dene ke aur dikhai na dene ke darmiyan sa kuchh
KHayal ki la-makaniyon mein ubhar raha hai makan sa kuchh
koi tayyun koi tayaqqun nazar ko mahdud rakh sake jo
falak se niche bahut hi niche bana hai ek saeban sa kuchh
numu ka tufan tha aafrinash ki zad pe hum tum khaDe the donon
tumhein bhi kuchh yaad aae shayad mujhe to aata hai dhyan sa kuchh
hawaen wabastagi se pur hain faza pe maujudgi hai tari
nawah-e-jaan mein lahak raha hai base-basae jahan sa kuchh
kahin ye manzar mein qaid lamhe kahin ye lamhon mein qaid manzar
rasai ki aazmaishon mein rihai ka imtihan sa kuchh
andhere kaghaz ki wusaton mein kahin kahin raushni ke dhabbe
ye sai-e-tajsim-e-na-bayani ye ishtibah-e-bayan sa kuchh
(1330) Peoples Rate This