Bujh Gai Aag To Kamre Mein Dhuan Hi Rakhna
bujh gai aag to kamre mein dhuan hi rakhna
dil mein ek gosha-e-ehsas-e-ziyan hi rakhna
phir isi rah se milegi nae iblagh ko samt
sher ko dard ka uslub-e-bayan hi rakhna
aah manzar ko ye barfati hui be-safari
sath pighle hue raston ke nishan hi rakhna
kah na sakna bhi bahut kuchh hai riyazat ho agar
zaKHm honTon ke sar-e-ijz-e-bayan hi rakhna
jaise wo saneha lamha bhi zamana bhi hai 'saz'
yaad us shaKHs ke jaane ka saman hi rakhna
(1228) Peoples Rate This