Baja Ki Paband-e-kucha-e-naz Hum Hue The
baja ki paband-e-kucha-e-naz hum hue the
yahin se par le ke mahw-e-parwaz hum hue the
suKHan ka aaghaz pahle bose ki tazgi tha
azal-ruba saaton ke hamraaz hum hue the
jahan se madum thi KHush-aindagi safar ki
wahin se ek lamha-e-tag-o-taz hum hue the
yahan jo ek gunj daere se bana rahi hai
isi KHamoshi mein sang-e-awaz hum hue the
rawan-dawan inkishaf-dar-inkishaf the hum
jo muD ke dekha to segha-e-raaz hum hue the
ufuq tha raushan na murtaish paniyon pe kirnen
ghalat jaziron pe langar-andaz hum hue the
kuredte phir rahe hain ab ret sahilon ki
wahi jo ghota-zan-e-yam-e-raaz hum hue the
jumud ka ek daur guzra tha fikr-o-fan par
tawil arse ke baad phir 'saz' hum hue the
(1235) Peoples Rate This