Use Maine Nahin Dekha
wo kaisi hai
use main ne nahin dekha
suna hai wo zamin-zadi
dhanak se apne KHwabon ke ufuq gul-rang rakhti hai
mere KHashak se aage kisi manzar mein rahti hai
hawa ke ghar mein rahti hai
wo kis suraj ka hissa hai
wo kis tare ki miTTi hai
use main ne nahin dekha
meri aankhon se le kar us ki aankhon tak kise malum hai
kitne sitare hain
mujhe kya ilm wo kis rang ke kapDe pahanti hai
wo KHali bartanon mein apna din kaise biTati hai
wo KHushiyan DhunDti hai aur KHud ko band almari mein rakh kar
bhul jati hai
wo ghar ke lawn mein baiThi bahut kuchh sochti hogi
ki mera rang kaisa hai
meri aankhon ke raushan qumqumon mein tab kitni hai
meri shiryan mein sahme hue bachchon pe kya guzri
wo kis raste pe chal nikle ki apne ghar nahin pahunche
wo akasr sochti hogi
mere kamre mein buDhi fahisha tanhai ke hote
mere din kaise kaTte hain
meri be-KHwab raaten kin KHayalon mein guzarti hain
kahan ishq-e-gurezan ki kahani KHatm hoti hai
wo ghar ke lawn mein baiThi yahi kuchh sochti hogi
ki mere nam ke pichhe meri taswir kaisi hai
mere KHat bhi nahin us ke tasarruf mein
ki un ko khol kar mere badan ke raaz tak pahunche
mujhe us ne nahin dekha
na main ne us ko dekha hai
na us ne mujh ko dekha hai
magar apni mohabbat mein ajab husn-e-tawazun hai
wo akasr sochti hogi
main kitna apne daftar mein hun kitna ghar ki KHalwat mein
wo mujh ko mujh pe hi taqsim kar ke dekhti hogi
mujhe mahsus hota hai
koi dil chirti KHushbu mujhe aawaz deti hai
magar aawaz ke pichhe koi chehra nahin hota
wo mujh ko dekh leti hai
magar meri basarat mein mahak chehra nahin pati
ki KHushbu kis ne dekhi hai
sada ko kis ne pakDa hai
makani duriyan kaisi? zamani qurbaten kaisi?
wo mera jism hai lekin use main ne nahin dekha
(1828) Peoples Rate This