Andesha-e-visal Ki Ek Nazm
shafaq ke phul thaali mein sajae sanwli aai
charaghon se lawen khinchin darichon mein nami aai
mein samjha us se milne ki ghaDi aai
hawa jarub-kash thi aasman-asar tinkon ki
jise apni suhulat ke liye duniya ye tan-asan duniya ek murawwat mein
hujum-e-KHalq kahti hai
meri aankhen tahi gul-dan ki surat munDeron par
gali se uThne wali gard ko titli batati hain
ye manzar munjamid ho kar safar aaghaz karta hai
lahu ki barq-raftari tanaben khench leti hai
ye kaisi sham-e-shahzadi
shafaq ke phul thaali mein sajae zina-e-shab se utar aai
mein samjha us se milne ki ghaDi aai
salaKHon se lahu phuTa lahu mein raushni aai
(1465) Peoples Rate This