Adhuri Nazm
andheri sham ke sathi
adhuri nazm se zor-azma hain
bar-sar-e-kaghaz bichhaDne ki
suno tum se dil-e-mahzun ki baaten kahne walon ka
yahi anjam hota hai
kahin satr-e-shikasta ki tarah hain chaar shane chit
kahin harf-e-tamanna ki tarah dil mein taraazu hain
suno in nil-chashmon saKHt-jaanon be-zabanon par
jo guzregi so guzregi
magar main ek adhuri nazm ki haijaan mein khoya
tumhein aawaz deta hun
ki tanha aadmi taKHliq se aari hua karta hai
jaan-e-man!
suno mere qarib aao
ki mujh ko aaj ki raat ek adhuri nazm puri kar ke sona hai!
(2278) Peoples Rate This