Yun To Shiraaza-e-jaan Kar Ke Baham UThte Hain
yun to shiraaza-e-jaan kar ke baham uThte hain
baiThne lagta hai dil junhi qadam uThte hain
hum to is razm-gah-e-waqt mein rahte hain jahan
hath kaT jaen to danton se alam uThte hain
sahl angar-tabiat ka bura ho jis se
naz uThte hain tere aur na sitam uThte hain
koi raunde to uThate hain nigahen apni
warna miTTi ki tarah rah se kam uThte hain
nind jati hi nahin arz-e-hunar se aage
daftar-e-gham hi sada kar ke raqam uThte hain
din ki aaghosh-e-razaat se nikal kar 'tabish'
raat ki raat kaf-e-KHak se hum uThte hain
(1841) Peoples Rate This