Ye Wahime Bhi Ajab Baam-o-dar Banate Hain
ye wahime bhi ajab baam-o-dar banate hain
hawa ki shaKH pe KHushbu ka ghar banate hain
kaf-e-KHayal pe aks-e-nashat-e-rang tera
nahin banane ka yara magar banate hain
ye mashghala hai tere aashiyan paraston ka
ki zer-e-dam paDe baal-o-par banate hain
wo apni marzi ka matlab nikal leta hai
agarche baat to hum soch kar banate hain
main jab bhi dhup ke sahra mein ja nikalta hun
wo hath mujh pe dua ka shajar banate hain
meri misal hai un sabz shaKHchon jaisi
jo dhup kat ke malbus zar banate hain
hum us ko bhul ke karte hain shairi 'tabish'
kamal-e-be-hunari se hunar banate hain
(2231) Peoples Rate This