Ye Kis Ke KHauf Ka Galiyon Mein Zahr Phail Gaya
ye kis ke KHauf ka galiyon mein zahr phail gaya
ki ek nash ke manind shahr phail gaya
nahin giraft mein ta-hadd-e-KHak ka manzar
simaT gain meri banhen ki dahr phail gaya
tujhe qarib samajhte the ghar mein baiThe hue
teri talash mein nikle to shahr phail gaya
main jis taraf bhi chala jaun jaan se jaun
bichhaD ke tujh se to lagta hai dahr phail gaya
makan makan se nikla ki jaise baat se baat
misal-e-qissa-e-hijran ye shahr phail gaya
bacha na koi teri dhup ki tamazat se
tera jamal ba-andaz-e-qahr phail gaya
ye mauj mauj bani kis ki shakl si 'tabish'
ye kaun Dub ke bhi lahr lahr phail gaya
(1769) Peoples Rate This