Ye Hum Jo Hijr Mein Us Ka KHayal Bandhte Hain
ye hum jo hijr mein us ka KHayal bandhte hain
hawa ki shaKH se bu-e-visal bandhte hain
hamare bas mein kahan zist ko suKHan karna
ye qafiya faqat ahl-e-kamal bandhte hain
ye ahd-e-jeb-tarashan ko ab hua malum
yahan ke log girah mein sawal bandhte hain
wo KHub jaante hain ham-dua nihadon ko
hamare hath ba-waqt-e-zawal bandhte hain
sabhi ko shauq-e-asiri hai apni apni jagah
wo hum ko aur hum un ka KHayal bandhte hain
tumhein pata ho ki hum sahilon ke parwarda
mohabbaton mein bhi mazbut jal bandhte hain
phir us ke baad kahin bhi wo ja nahin sakta
jise bhi bandhte hain hum kamal bandhte hain
(1805) Peoples Rate This