Ye Ajab Saat-e-ruKHsat Hai Ki Dar Lagta Hai
ye ajab saat-e-ruKHsat hai ki Dar lagta hai
shahr ka shahr mujhe raKHt-e-safar lagta hai
raat ko ghar se nikalte hue Dar lagta hai
chand diwar pe rakkha hua sar lagta hai
hum ko dil ne nahin haalat ne nazdik kiya
dhup mein dur se har shaKHs shajar lagta hai
jis pe chalte hue socha tha ki lauT aaunga
ab wo rasta bhi mujhe shahr-badar lagta hai
mujh se to dil bhi mohabbat mein nahin KHarch hua
tum to kahte the ki is kaam mein ghar lagta hai
waqt lafzon se banai hui chadar jaisa
oDh leta hun to sab KHwab hunar lagta hai
is zamane mein to itna bhi ghanimat hai miyan
koi bahar se bhi darwesh agar lagta hai
apne shajre ki wo tasdiq karae ja kar
jis ko zanjir pahante hue Dar lagta hai
ek muddat se meri man nahin soi 'tabish'
main ne ek bar kaha tha mujhe Dar lagta hai
(3262) Peoples Rate This