Us Ka KHayal KHwab Ke Dar Se Nikal Gaya
us ka KHayal KHwab ke dar se nikal gaya
phir main bhi apne dida-e-tar se nikal gaya
palken bhi bah gain KHas-o-KHashak ki tarah
main apne sahilon ke asar se nikal gaya
tanhai se thi meri mulaqat aaKHiri
roya aur is ke baad main ghar se nikal gaya
jab sham-e-intizar uTha li munDer se
dast-e-hawa bhi halqa-e-dar se nikal gaya
raste mein aankh thi sag-e-mamur ki tarah
dil mein jo chor tha wo kidhar se nikal gaya
ab le le mujh ko apni hatheli ki oT mein
mera sitara burj-e-safar se nikal gaya
mere hi sath ghar mein nazar-band tha to phir
tera KHayal kaun se dar se nikal gaya
(1679) Peoples Rate This