Tilism-e-KHwab Se Mera Badan Patthar Nahin Hota
tilism-e-KHwab se mera badan patthar nahin hota
meri jab aankh khulti hai main bistar par nahin hota
yaqin aata nahin to mujh ko ya mahtab ko dekho
ki raat us ki bhi kaT jati hai jis ka ghar nahin hota
jidhar dekhun udhar hi dekhta rahta hun pahron tak
mujhe atraf ka KHali waraq azbar nahin hota
khajuren aur pani le ke aage baDhta jata hun
magar ye koh-e-imkan hai ki mujh se sar nahin hota
kam-az-kam mujh se duniya ko shikayat to nahin hogi
main is jaisa hi ban jaun agar behtar nahin hota
jawaz apna banata hun kisi nadida KHitte mein
jahan meri zarurat ho wahan aksar nahin hota
bahata hun kahin apne sifal-e-be-murkkab ko
main girye ke dinon mein chaak-e-duniya par nahin hota
gila to KHair kya hoga bas itna tum se kahna hai
tumhaari umr mein koi sitam-parwar nahin hota
to phir yun hai ki main ne us ko chaha hi nahin 'tabish'
agar us ki shabahat ka guman mujh par nahin hota
(1738) Peoples Rate This