Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_38b5cfd46b373395bd0d19863c901d36, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Subh Ki Pahli Kiran Pahli Nazar Se Pahle - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Subh Ki Pahli Kiran Pahli Nazar Se Pahle

subh ki pahli kiran pahli nazar se pahle

hum ko hona hai kahin aur sahar se pahle

chand ne dekh liya hum ko kanar-e-dariya

bhag chalte hain kisi aur KHabar se pahle

lau lagane se gai dar-badari ki zillat

KHud ko pahuncha hua lagta hun safar se pahle

kyun na duniya ko dikhaun main jale hath ka zaKHm

kuchh charaghon se talluq tha udhar se pahle

ek hatheli hai meri ek hatheli us ki

sab duaen hain asar-yab asar se pahle

sham ke baad andhera nahin rahta ghar mein

ek suraj nikal aata hai sahar se pahle

tab meri aankh khula karti thi andar ki taraf

main ne dekha hai use pahli nazar se pahle

tu faqat sina-o-dil hai na faqat aariz-o-lab

suKHan aaghaz kare koi kidhar se pahle

(2446) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Ki Pahli Kiran Pahli Nazar Se Pahle In English By Famous Poet Abbas Tabish. Subh Ki Pahli Kiran Pahli Nazar Se Pahle is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Subh Ki Pahli Kiran Pahli Nazar Se Pahle for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Subh Ki Pahli Kiran Pahli Nazar Se Pahle in PDF.