Sans Ke Shor Ko Jhankar Na Samjha Jae
sans ke shor ko jhankar na samjha jae
hum ko andar se giraftar na samjha jae
us ko raste se haTane ka ye matlab to nahin
kisi diwar ko diwar na samjha jae
main kisi aur hawale se use dekhta hun
mujh ko duniya ka taraf-dar na samjha jae
ye zamin to hai kisi kaghzi kashti jaisi
baiTh jata hun agar bar na samjha jae
us ko aadat hai ghane peD mein so jaane ki
chand ko dida-e-bedar na samjha jae
apni baaton pe wo qaem nahin rahta 'tabish'
us ke inkar ko inkar na samjha jae
(1964) Peoples Rate This