Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9b3bde679e8425e01f9b36d59a671b51, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sada-e-zat Ke Unche Hisar Mein Gum Hai - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Sada-e-zat Ke Unche Hisar Mein Gum Hai

sada-e-zat ke unche hisar mein gum hai

wo KHamushi ka musafir pukar mein gum hai

wo shahr-e-shab ke kinare charagh jalta hai

ki koi subh mere intizar mein gum hai

ye kah rahi hain kisi ki jhuki jhuki aankhen

badan ki aanch nazar ke KHumar mein gum hai

har ek samt se us ko sadaen aati hain

mujhe pukar ke KHud bhi pukar mein gum hai

nae charagh jala mujh ko DhunDne wale

teri nazar to nazar ke ghubar mein gum hai

(1621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sada-e-zat Ke Unche Hisar Mein Gum Hai In English By Famous Poet Abbas Tabish. Sada-e-zat Ke Unche Hisar Mein Gum Hai is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Sada-e-zat Ke Unche Hisar Mein Gum Hai for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Sada-e-zat Ke Unche Hisar Mein Gum Hai in PDF.