Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b852f632f84dfa8b364c1579b27ca3ca, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Parinde Puchhte Hain Tumne Kya Qusur Kiya - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Parinde Puchhte Hain Tumne Kya Qusur Kiya

parinde puchhte hain tum ne kya qusur kiya

wo kya kahen jinhen hijrat ne ghar se dur kiya

yahi bahut hai ki us ahd-e-be-payambar mein

kahin charagh kahin KHwab ne zuhur kiya

ye mera KHak mein milna basa ghanimat hai

ki main ne ijz ki KHatir bahut ghurur kiya

falak se phenk ke dekha ki TuTne ka nahin

gira ke apni nigahon se chur chur kiya

ghubar-e-dar-ba-dari jis ne kar diya mujh ko

musafiron ko usi dhup ne khajur kiya

(1912) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parinde Puchhte Hain Tumne Kya Qusur Kiya In English By Famous Poet Abbas Tabish. Parinde Puchhte Hain Tumne Kya Qusur Kiya is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Parinde Puchhte Hain Tumne Kya Qusur Kiya for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Parinde Puchhte Hain Tumne Kya Qusur Kiya in PDF.