Nigah-e-awwalin Ka Hai Taqaza Dekhte Rahna
nigah-e-awwalin ka hai taqaza dekhte rahna
ki jis ko dekhna us ko hamesha dekhte rahna
na mujh ko nind aati hai na dil se baat jati hai
ye kis ne kah diya mujh se ki rasta dekhte rahna
abhi achchhe nahin lagte junun ke pech-o-KHam us ko
kabhi is rah se guzregi ye duniya dekhte rahna
diye ki lau na ban jae tanab-e-sarsari us ki
main dariya ki taraf jata hun KHema dekhte rahna
koi chehra hi mumkin hai tumhaare ji ko lag jae
tamasha dekhne walo tamasha dekhte rahna
ki ab to dekhne mein bhi hain kuchh mahwiyaten aisi
kahin patthar na kar Dale ye mera dekhte rahna
sarishk-e-KHun kabhi mizhgan talak aaya nahin phir bhi
kinare aa lage shayad ye dariya dekhte rahna
nigah-e-sarsari 'tabish' muhit-e-husn kya hogi
jahan tak dekhne ka ho taqaza dekhte rahna
(1473) Peoples Rate This