Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ak60lv5301eh0u9m32q2rkn3b2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Tujhse Hai Na Gila Aasman Se Hoga - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Na Tujhse Hai Na Gila Aasman Se Hoga

na tujh se hai na gila aasman se hoga

teri judai ka jhagDa jahan se hoga

tumhaare mere talluq ka log puchhte hain

ki jaise faisla mere bayan se hoga

agar yunhi mujhe rakkha gaya akele mein

baramad aur koi us makan se hoga

judai tai thi magar ye kabhi na socha tha

ki tu juda bhi judagana shan se hoga

guzar rahe hain mere din isi tafaKHur mein

ki agla qais mere KHandan se hoga

(1632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Tujhse Hai Na Gila Aasman Se Hoga In English By Famous Poet Abbas Tabish. Na Tujhse Hai Na Gila Aasman Se Hoga is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Na Tujhse Hai Na Gila Aasman Se Hoga for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Na Tujhse Hai Na Gila Aasman Se Hoga in PDF.