Musafirat Mein Shab-e-wagha Tak Pahunch Gae Hain
musafirat mein shab-e-wagha tak pahunch gae hain
ye log apni abad-sara tak pahunch gae hain
ab is se agla safar hamara lahu karega
ki hum madine se karbala tak pahunch gae hain
agar mubaraz-talab nahin the to kis liye hum
charagh le kar dar-e-hawa tak pahunch gae hain
gulabon aur gardanon se andaza ho raha hai
ki hum kisi mausam-e-jaza tak pahunch gae hain
teri mohabbat mein gumrahi ka ajab nasha tha
ki tujh tak aate hue KHuda tak pahunch gae hain
bata rahi hai ye KHushk patton ki tez barish
hum apne mausam ki ibtida tak pahunch gae hain
hamein bhi shunwai ka yaqin ho chala hai 'tabish'
ki hum bhi tahrik-e-iltiwa tak pahunch gae hain
(1514) Peoples Rate This