Mujh Tahi-jaan Se Tujhe Inkar Pahle To Na Tha
mujh tahi-jaan se tujhe inkar pahle to na tha
tera aur mere liye diwar pahle to na tha
husn ne saunpi hai ye kaisi nigun-sari mujhe
main kisi ka aaina-bardar pahle to na tha
is tarah to pa-ba-jaulan hum na phirte the kabhi
in gali-kuchon mein ye bazar pahle to na tha
ab kahan se aai us kafir ke dil mein raushni
aaina halqa-ba-gosh-e-yar pahle to na tha
'tabish' ek daryuza-gar ko baz rakhne ke liye
koi darwaza pas-e-diwar pahle to na tha
(1505) Peoples Rate This