Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_be1989d63519bcf6cc3c506ff9c6f078, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Tanhai BaDhate Hain Chale Jate Hain - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Meri Tanhai BaDhate Hain Chale Jate Hain

meri tanhai baDhate hain chale jate hain

hans talab pe aate hain chale jate hain

is liye ab main kisi ko nahin jaane deta

jo mujhe chhoD ke jate hain chale jate hain

meri aankhon se baha karti hai un ki KHushbu

raftagan KHwab mein aate hain chale jate hain

shadi-e-marg ka mahaul bana rahta hai

aap aate hain rulate hain chale jate hain

kab tumhein ishq pe majbur kiya hai hum ne

hum to bas yaad dilate hain chale jate hain

aap ko kaun tamashai samajhta hai yahan

aap to aag lagate hain chale jate hain

hath patthar ko baDhaun to sagan-e-duniya

hairati ban ke dikhate hain chale jate hain

(3516) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Tanhai BaDhate Hain Chale Jate Hain In English By Famous Poet Abbas Tabish. Meri Tanhai BaDhate Hain Chale Jate Hain is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Meri Tanhai BaDhate Hain Chale Jate Hain for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Meri Tanhai BaDhate Hain Chale Jate Hain in PDF.