Mah-ruKH Jo Gharon Se Kabhi Bahar Nikal Aae
mah-ruKH jo gharon se kabhi bahar nikal aae
pas-manzar-e-shab se kai manzar nikal aae
tum apni zabanon se use chaTte rahna
kya jaaniye diwar mein kab dar nikal aae
kya un ko Duboe kisi dariya ki rawani
ye shahr to kuze ke samundar nikal aae
din bhar to rahe mahr-e-jahan-tab ki surat
jab raat paDi bhes badal kar nikal aae
aae hain agarche kai chehron se ulajh kar
lagta hai ki hum aankh bacha kar nikal aae
aawaz to do partaw-e-mahtab ko 'tabish'
mumkin hai wo talab se bahar nikal aae
(1419) Peoples Rate This