Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a320b871c020b6c82d6025e6597e8897, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Koi Milta Nahin Ye Bojh UThane Ke Liye - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Koi Milta Nahin Ye Bojh UThane Ke Liye

koi milta nahin ye bojh uThane ke liye

sham bechain hai suraj ko girane ke liye

apne ham-zad daraKHton mein khaDa sochta hun

main to aaya tha inhen aag lagane ke liye

main ne to jism ki diwar hi Dhai hai faqat

qabr tak khodte hain log KHazane ke liye

do palak bich kabhi rah na pai warna

main ne koshish to bahut ki nazar aane ke liye

lafz to lafz yahan dhup nikal aati hai

teri aawaz ki barish mein nahane ke liye

kis tarah tark-e-talluq ka main sochun 'tabish'

hath ko kaTna paDta hai chhuDane ke liye

(3003) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Milta Nahin Ye Bojh UThane Ke Liye In English By Famous Poet Abbas Tabish. Koi Milta Nahin Ye Bojh UThane Ke Liye is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Koi Milta Nahin Ye Bojh UThane Ke Liye for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Koi Milta Nahin Ye Bojh UThane Ke Liye in PDF.