Ek Mushkil Si Bahar-taur Bani Hoti Hai
ek mushkil si bahar-taur bani hoti hai
tujh se baz aaen to phir KHud se Thani hoti hai
kuchh to le baiThti hai apni shikasta-pai
aur kuchh rah mein chhanw bhi ghani hoti hai
mere sine se zara kan laga kar dekho
sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai
aabla-pai bhi hoti hai muqaddar apna
sar pe aflak ki chadar bhi tani hoti hai
dudh ki nahr nikali hai ghamon se hum ne
hum bata sakte hain kya koh-kani hoti hai
aankh to khulti hai kirnon ki talab mein lekin
zeb-e-mizhgan kisi neze ki ani hoti hai
dasht-e-ghurbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish'
ab to ghar mein bhi gharib-ul-watani hoti hai
(1459) Peoples Rate This