Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e5d5f5a646ea99ba1aee351728756c60, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Dukhon Ke Hisar Mein Aaya - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Dil Dukhon Ke Hisar Mein Aaya

dil dukhon ke hisar mein aaya

jabr kab iKHtiyar mein aaya

de use bhi farogh-e-husn ki bhik

dil bhi lag kar qatar mein aaya

KHub hai ye ikai bhi lekin

jo maza intishaar mein aaya

dekhta hai na puchhna hai koi

ajnabi kis dayar mein aaya

ye to jaanen muqaddaron wale

kaun kis ke madar mein aaya

shaKH par ek phul bhi 'tabish'

mujh se milne bahaar mein aaya

(1466) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dil Dukhon Ke Hisar Mein Aaya In English By Famous Poet Abbas Tabish. Dil Dukhon Ke Hisar Mein Aaya is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Dil Dukhon Ke Hisar Mein Aaya for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Dil Dukhon Ke Hisar Mein Aaya in PDF.