Charagh-e-subh Jala Koi Na-shanasi Mein
charagh-e-subh jala koi na-shanasi mein
ek aur din ka izafa hua udasi mein
teri nazar ke ishaaron pe aaina na hua
ye dil ki taq bahut tha suKHan-shanasi mein
dikhai de na mujhe dahshat-e-jamal ke sath
nashat-e-ishq na kho jae bad-hawasi mein
junun rahin-e-qaba ho to is se puchhun bhi
ke kitna lutf mayassar tha be-libasi mein
na roz-e-abr-e-siyah tha na mahtab ki raat
gilas TuT gaya kaisi bad-hawasi mein
(1706) Peoples Rate This