Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5f25af310f23549cc39210e3e831ff98, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chand Ko Talab Mujhko KHwab Wapas Kar Diya - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Chand Ko Talab Mujhko KHwab Wapas Kar Diya

chand ko talab mujh ko KHwab wapas kar diya

din-Dhale suraj ne sab asbab wapas kar diya

is tarah bichhDa ki agli raunaqen phir aa gain

us ne mera halqa-e-ahbab wapas kar diya

phir bhaTakta phir raha hai koi burj-e-dil ke pas

kis ko ai chashm-e-sitara-yab wapas kar diya

main ne aankhon ke kinare bhi na tar hone diye

jis taraf se aaya tha sailab wapas kar diya

jaane kis diwar se Takra ke lauT aai hai gend

jaane kis diwar ne mahtab wapas kar diya

phir to us ki yaad bhi rakkhi na main ne apne pas

jab kiya wapas to kul asbab wapas kar diya

iltijaen kar ke mangi thi mohabbat ki kasak

be-dili ne yun gham-e-nayab wapas kar diya

(1933) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Ko Talab Mujhko KHwab Wapas Kar Diya In English By Famous Poet Abbas Tabish. Chand Ko Talab Mujhko KHwab Wapas Kar Diya is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Chand Ko Talab Mujhko KHwab Wapas Kar Diya for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Chand Ko Talab Mujhko KHwab Wapas Kar Diya in PDF.