Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_655c7039ea03dc44e2658c2e4a036a8b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
BaiThta UThta Tha Main Yaron Ke Bich - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

BaiThta UThta Tha Main Yaron Ke Bich

baiThta uThta tha main yaron ke bich

ho gaya diwar diwaron ke bich

jaanta hun kaise hoti hai sahar

zindagi kaTi hai bimaron ke bich

mere is koshish mein bazu kaT gae

chahta tha sulh talwaron ke bich

wo jo mere ghar mein hota tha kabhi

ab wo sannaTa hai bazaron ke bich

tum ne chhoDa to mujhe ye taeran

bhar ke le jaenge minqaron ke bich

tujh ko bhi is ka koi ehsas hai

teri KHatir Than gai yaron ke bich

(1808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaiThta UThta Tha Main Yaron Ke Bich In English By Famous Poet Abbas Tabish. BaiThta UThta Tha Main Yaron Ke Bich is written by Abbas Tabish. Read famous Poem BaiThta UThta Tha Main Yaron Ke Bich for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download BaiThta UThta Tha Main Yaron Ke Bich in PDF.