Badan Ke Chaak Par Zarf-e-numu Tayyar Karta Hun
badan ke chaak par zarf-e-numu tayyar karta hun
main kuza-gar hun aur miTTi ka karobar karta hun
meri KHandaq mein us ke qurb ki qindil raushan hai
mere dushman se kah dena main us se pyar karta hun
kahin to reg-e-KHufta ki tarah pani mein paD rahta
waraq-gardani-e-sahra main kyun be-kar karta hun
uThae phir raha hun hasrat-e-tamir ki inTen
jahan saya nahin hota wahin diwar karta hun
jahan bhi sham-e-tan jae muhafiz sanp ki surat
main apni rezgari ki wahin ambar karta hun
usi ko samne pa kar usi ko bhinch kar 'tabish'
sukut-e-na-shanasi ko suKHan-asar karta hun
(1579) Peoples Rate This