Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5cc0e4cc764c75980950d417b94a421b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bachpan Ka Daur Ahd-e-jawani Mein Kho Gaya - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Bachpan Ka Daur Ahd-e-jawani Mein Kho Gaya

bachpan ka daur ahd-e-jawani mein kho gaya

ye amr-e-waqia bhi kahani mein kho gaya

lahron mein koi naqsha kahan paedar hai

suraj ke baad chand bhi pani mein kho gaya

aankhon tak aa saki na kabhi aansuon ki lahr

ye qafila bhi naql-e-makani mein kho gaya

ab bastiyan hain kis ke taaqub mein raat-din

dariya to aap apni rawani mein kho gaya

'tabish' ka kya kahen ki wo zohra-gudaz shaKHs

aatish-fishan ka phul tha pani mein kho gaya

(2990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bachpan Ka Daur Ahd-e-jawani Mein Kho Gaya In English By Famous Poet Abbas Tabish. Bachpan Ka Daur Ahd-e-jawani Mein Kho Gaya is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Bachpan Ka Daur Ahd-e-jawani Mein Kho Gaya for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Bachpan Ka Daur Ahd-e-jawani Mein Kho Gaya in PDF.