Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_74322575036aec0f36099b3a57d085ef, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ajib Taur Ki Hai Ab Ke Sargirani Meri - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Ajib Taur Ki Hai Ab Ke Sargirani Meri

ajib taur ki hai ab ke sargirani meri

main tujh ko yaad bhi kar lun to mehrbani meri

main apne aap mein gahra utar gaya shayad

mere safar se alag ho gai rawani meri

bas ek moD meri zindagi mein aaya tha

phir is ke baad ulajhti gai kahani meri

tabah ho ke bhi rahta hai dil ko dhaDka sa

ki raegan na chali jae raegani meri

main apne baad bahut yaad aaya karta hun

tum apne pas na rakhna koi nishani meri

(1748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Taur Ki Hai Ab Ke Sargirani Meri In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ajib Taur Ki Hai Ab Ke Sargirani Meri is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ajib Taur Ki Hai Ab Ke Sargirani Meri for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ajib Taur Ki Hai Ab Ke Sargirani Meri in PDF.