Ajab Sauda-e-wahshat Hai Dil-e-KHud-sar Mein Rahta Hai
ajab sauda-e-wahshat hai dil-e-KHud-sar mein rahta hai
ye kaisi chhab ka malik hai ye kaise ghar mein rahta hai
usi ke dam-qadam se hai jahan-e-dida-o-nazzara
kahin aankhon mein basta hai kahin manzar mein rahta hai
nihaal-e-KHushk mein ab tak wo sukha zard sa patta
barahna lagta hai lekin libas-e-zar mein rahta hai
meri aankhon se le kar tere chehre tak sitare hain
ki jo gardish mein aa jae usi mehwar mein rahta hai
main apne aks ko ram-KHurdagi se baz kya rakkhun
ghazal-e-aina-KHana kisi ke Dar mein rahta hai
mujhe to gor-e-girya mein sula dete hain ghar wale
magar ehsas-e-bedari mere bistar mein rahta hai
(1676) Peoples Rate This