Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6a0e3c9039a65db4d6447f3149c83195, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aise To Koi Tark Sukunat Nahin Karta - Abbas Tabish Poetry In English - Darsaal

Aise To Koi Tark Sukunat Nahin Karta

aise to koi tark sukunat nahin karta

hijrat wahi karta hai jo baiat nahin karta

ye log mujhe kis liye dozaKH se Daraen

main aashiqi karta hun ibaadat nahin karta

hum silsila-daron ke ho kyun jaan ke darpai

kafir use kahiye jo mohabbat nahin karta

lagta hai yahan maut nahin aani kisi ko

is shahr mein ab koi wasiyyat nahin karta

ye mujh ko batate hain ghazalan-e-tarah-dar

achchha wahi rahta hai jo wahshat nahin karta

'tabish' ka qayamat se yaqin uTh na gaya ho

kuchh din se wo zikr-e-qad-o-qamat nahin karta

(2077) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise To Koi Tark Sukunat Nahin Karta In English By Famous Poet Abbas Tabish. Aise To Koi Tark Sukunat Nahin Karta is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Aise To Koi Tark Sukunat Nahin Karta for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Aise To Koi Tark Sukunat Nahin Karta in PDF.