Ab Parindon Ki Yahan Naql-e-makani Kam Hai
ab parindon ki yahan naql-e-makani kam hai
hum hain jis jhil pe us jhil mein pani kam hai
ye jo main bhagta hun waqt se aage aage
meri wahshat ke mutabiq ye rawani kam hai
de mujhe anjum-o-mahtab se aage ki KHabar
mujh se fani ke liye aalam-e-fani kam hai
gham ki talKHi mujhe nashsha nahin hone deti
ye ghalat hai ki teri chiz purani kam hai
ghaib ke bagh ka wo bhed khula hai mujh par
jis ka iblagh parindon ki zabani kam hai
hijr ko hausla aur wasl ko fursat darkar
ek mohabbat ke liye ek jawani kam hai
itna mushkil to na tha gum-shudagan ka milna
hum ne ai dasht teri KHak hi chhani kam hai
is samay maut ki KHushbu ke muqabil 'tabish'
kisi aangan mein khili raat-ki-rani kam hai
(2576) Peoples Rate This